Wednesday, June 25, 2008

Dard bhara nagma hoon

Dard bhara nagma hoon mujhay na gungunana tum,
tuta hua khaab hoon main mujhay bhool jana tum…
Dard ki manind mujhay dil main chhupa lena tum,
aansuon ki tarha mujhay aankh say na bahana tum……
Yeh zakham mere paas tere pyar ki nishani hai,
bhool kar bhee in par na marham lagana tum……

0 comments: